اردو हिंदी
Ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki | Shaahi Shayari
ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki

Ghazal

Ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki

Iqbal Suhail

;

ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki
uDa ke lai hai saba shamim zulf-e-yar ki

bas itni kaenat hai hayat-e-mustaar ki
shabab hai habab ka bahaar hai sharar ki

fareb-kariyan na puchh josh-e-intizar ki
tamam shab suna kiye sada KHiram-e-yar ki

ye muKHtasar si dastan hai jabr-o-iKHtiyar ki
karishma-saz koi ho KHata gunahgar ki

haqiqat-e-fareb-e-husn aalam aashkar ki
ye ibtida-e-fatah hai junun-e-puKHta-kar ki

mujhe to aankh khulte hi qafas ki tiliyan milin
meri bala se gar chaman mein fasl hai bahaar ki

tere nisar zaKHm-e-ishq kuchh wo lazzaten milin
balaen le raha hai dil KHadang-e-jaan-shikar ki

rah-e-talab ki lazzaten hain aur himmat aafrin
ye talKHiyan hain talKHiyan sharab-e-KHush-gawar ki

'suhail' teri shairi hai ya fusun-e-samari
rawaniyan hain nazm mein KHiram-e-ju-e-yar ki