ye ishq kal tujhe husn-e-jawan mile na mile
na der kar ki ye jins-e-giran mile na mile
buton se mil ke bhi aaram-e-jaan mile na mile
nazar mile to mizaj-e-butan mile na mile
main aaj hi use kyun sarf-e-dil na kar Dalun
ye KHun ki bund mujhe kal yahan mile na mile
hadis-e-shauq payambar talash kar legi
zaban ki kaun zarurat zaban mile na mile
nigah-e-shauq ne dekha hai ek hasin ufuq
meri jabin ko tera aastan mile na mile
gale laga ke kiya nazr-e-shoala-e-atish
qafas se chhuT ke phir aashiyan mile na mile
mata-e-shauq ko ashkon ke sath bhej bhi dun
phir us ke baad koi karwan mile na mile
chalo qubul bhi kar lo mere sujud-e-niyaz
ab un ko aur koi aastan mile na mile
hayat-e-fani-e-'mulla' ki lazzaton ki qasam
bala se zindagi-e-jawedan mile na mile
Ghazal
Ye ishq kal tujhe husn-e-jawan mile na mile
Anand Narayan Mulla

