اردو हिंदी
Ye ishq bhi ajib hai ek aan ho gaya | Shaahi Shayari
ye ishq bhi ajib hai ek aan ho gaya

Ghazal

Ye ishq bhi ajib hai ek aan ho gaya

Shafaq Sopori

;

ye ishq bhi ajib hai ek aan ho gaya
insan sari umr ko hairan ho gaya

wo shaKHs kya gaya hai idhar se ki shahr-e-dil
phir dekhte hi dekhte viran ho gaya

is gham ne kaisi shakl badal li ki kal talak
dushman tha meri jaan ka ab jaan ho gaya

wo zulf mere bazu pe bikhri nahin to main
us zulf se ziyaada pareshan ho gaya

hai saltanat hi meri na lashkar mera magar
main bad-nasib jang ka maidan ho gaya

main us ko zinda dekh ke KHush ho gaya 'shafaq'
wo mujh ko zinda dekh ke hairan ho gaya