ye inkishaf chaman mein hua bahaar ke baad
ek aur daur bhi hai daur-e-KHush-gawar ke baad
raha to hun main nasheman mein muddaton lekin
kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad
dil-e-hazin ko shab-e-gham bahut fareb diye
na aai nind magar tere intizar ke baad
jamal-e-ghuncha-o-gul par nigah kaun kare
jamal-e-ghuncha-o-gul hai jamal-e-yar ke baad
bahaar mein jo mujhe rind kah rahe hain 'aziz'
wo parsa bhi kahenge mujhe bahaar ke baad
Ghazal
Ye inkishaf chaman mein hua bahaar ke baad
Aziz Warsi

