ye inayaten ghazab ki ye bala ki mehrbani
meri KHairiyat bhi puchhi kisi aur ki zabani
nahin mujh se jab talluq to KHafa KHafa se kyun hain
nahin jab meri mohabbat to ye kaisi bad-gumani
mera gham rula chuka hai tujhe bikhri zulf wale
ye ghaTa bata rahi hai ki baras chuka hai pani
tera husn so raha tha meri chheD ne jagaya
wo nigah main ne Dali ki sanwar gai jawani
meri be-zaban aankhon se gire hain chand qatre
wo samajh saken to aansu na samajh saken to pani
hai agar hasin banana tujhe apni zindagi ko
to 'nazir' is jahan ko na samajh jahan-e-fani
Ghazal
Ye inayaten ghazab ki ye bala ki mehrbani
Nazeer Banarasi