اردو हिंदी
Ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai | Shaahi Shayari
ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

Ghazal

Ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

Shahryar

;

ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai
sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai

raaton se raushni ki talab hae sadgi
KHwabon mein us ki did ki KHu kaisi bhul hai

hai un ke dam-qadam hi se kuchh aabru-e-zist
daman mein jin ke dasht-e-tamanna ki dhul hai

suraj ka qahr sirf barahna saron pe hai
puchho hawas-parast se wo kyun malul hai

aao hawa ke hath ki talwar chum len
ab buz-dilon ki fauj se laDna fuzul hai