اردو हिंदी
Ye ek shan-e-KHuda hai main nahin hun | Shaahi Shayari
ye ek shan-e-KHuda hai main nahin hun

Ghazal

Ye ek shan-e-KHuda hai main nahin hun

Azad Ansari

;

ye ek shan-e-KHuda hai main nahin hun
wahi jalwa-numa hai main nahin hun

zamana pahle mujh ko DhunDta hai
magar tera pata hai main nahin hun

tere hote meri hasti ka kya zikr
yahi kahna baja hai main nahin hun

sada-e-nahno-aqrab kah rahi hai
ki tu mujh se juda hai main nahin hun

wo KHud tashrif-farma-e-jahan hain
tumhein dhoka hua hai main nahin hun

kahan main aur kahan KHabt-e-anal-haq
koi mere siwa hai main nahin hun

mujhe 'azad' duniya kyun na puje
kisi ka naqsh-e-pa hai main nahin hun