ye ek aur hum ne qarina kiya 
dar-e-yar tak dil ko zina kiya 
badal di hai sab surat-e-ab-o-KHak 
magar jab lahu ko pasina kiya 
wo kashti se dete the manzar ki dad 
so hum ne bhi ghar ko safina kiya 
kahan hum tak aaya koi raaz-ju 
kahan hum ne dil ko dafina kiya 
faqiron ka ye bhi tilismat hai 
lahu-rang ko aabgina kiya 
chamakne laga phir gham-e-raegan 
magar ek jab zaKHm-o-sina kiya
        Ghazal
Ye ek aur humne qarina kiya
Abul Hasanat Haqqi

