ye hikayat tamam ko pahunchi
zindagi iKHtitam ko pahunchi
raqs karti hui nasim-e-sahar
subh tere salam ko pahunchi
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kya shab aaKHir tamam ko pahunchi
shab ko aksar kalid-e-mai-KHana
shaiKH-e-ali-maqam ko pahunchi
shahr kab se hisar-e-dard mein hai
ye KHabar ab awam ko pahunchi
pahle do ek qatl hote the
naubat ab qatl-e-am ko pahunchi
sab ka anjam ek jaisa hai
subh-e-raushan bhi sham ko pahunchi
maut bilkul qarib hai shayad
subh ko pahunchi sham ko pahunchi
Ghazal
Ye hikayat tamam ko pahunchi
Aslam Farrukhi