اردو हिंदी
Ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai | Shaahi Shayari
ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai

Ghazal

Ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai

Shams Farrukhabadi

;

ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai
aabaad bhi rahta tha kabhi apno ke dam se

sau bar isi tarah main mar mar ke jiya hun
derina talluq hai mera maqtal-e-gham se

ye jina bhi kya jina hai sar phoDna Thahra
qismat ko hai jab wasta patthar ke sanam se

bas itna ghanimat rahe un se ye talluq
hum apne ko badlen na wo baz aaen sitam se

aawaz na do 'shams' ko taDpega bichaara
aazad to ho jae zara band-e-alam se