ye gawara ki mera dast-e-tamanna bandhe
apni mahram ko na kas kar koi itna bandhe
baDh ke aae nigah-e-shauq balaen le le
koi baiTha hai kis andaz se juDa bandhe
shohrat-e-be-asari koi miTae kyun kar
ho na dard aah mein to koi hawa kya bandhe
dhajjiyan kya mere daman ki mere kaam aaen
baiTh kar dasht mein sab aabla-e-pa bandhe
hai buri baat kaho khol ke botal rakh de
shaiKH pagDi mein na bazar ka sauda bandhe
ek zara kha le hawa najd ki ThanDi ThanDi
kah do laila abhi mahmil mein na parda bandhe
bikhri zulfen yunhi lahraen ruKH-e-raushan par
kabhi juDa na mera gesuon wala bandhe
jab main dekhun meri aankhon mein mera ghar phir jae
chakkar itna to bayaban mein bagula bandhe
hum ne dekha taraf-e-mai-kada jate the 'riyaz'
ek asa thame aba pahne amama bandhe
Ghazal
Ye gawara ki mera dast-e-tamanna bandhe
Riyaz Khairabadi

