ye gham ka rang ye aab-e-malal aankhon mein
aza ka jaise ho aks-e-hilal aankhon mein
kabhi sarab kabhi tishnagi kabhi sahra
kabhi kabhi faqat aab-e-zulal aankhon mein
nazar milaun to kaise wo le ke chalta hai
bahut ajib se kitne sawal aankhon mein
ab aaina bhi jo dekhun to apne chehre par
main paDhti rahti hun tera KHayal aankhon mein
zara si der ko 'farhat' nazar nazar se mili
phir us ke baad to jam-e-sifal aankhon mein

Ghazal
Ye gham ka rang ye aab-e-malal aankhon mein
Farhat Nadir Rizwi