اردو हिंदी
Ye fasl-e-gul hai gareban ke tar ki had tak | Shaahi Shayari
ye fasl-e-gul hai gareban ke tar ki had tak

Ghazal

Ye fasl-e-gul hai gareban ke tar ki had tak

Mohammad Siddiq Saib Tonki

;

ye fasl-e-gul hai gareban ke tar ki had tak
junun ki KHair junun hai bahaar ki had tak

farogh-e-husn salamat kahin to hogi sahar
ki shab hai gesu-e-mushkin tatar ki had tak

qadam baDha ki abhi dur hai teri manzil
shikast-e-abla-pai hai KHar ki had tak

yahan kuchh aur nahin mawara-e-lail-o-nahaar
ye kaenat hai lail-o-nahaar ki had tak