اردو हिंदी
Ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane | Shaahi Shayari
ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane

Ghazal

Ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane

Faheem Jogapuri

;

ye faqiri hai qanaat ke siwa kya jaane
kaun kya de ke gaya dast-e-dua kya jaane

aag tan mein to laga lena koi khel hai kya
kitne majbur diye honge hawa kya jaane

us ko karna hai tah-e-KHak so karti jae
kaun hai sim-badan mauj-e-bala kya jaane

wo to dariyaon ko sairab kiye jati hai
sukhe kheton ki zarurat ko ghaTa kya jaane

ashk aankhon mein bhare hon to nazara kaisa
kanpta hath koi band-e-qaba kya jaane

koi zinda na bache wo to yahi chahte hain
kitna sunta hai KHudaon ka KHuda kya jaane

us se pahle jo kabhi chumte phulon ko 'fahim'
kaun sa gham hai hamein baad-e-saba kya jaane