ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
labon par pyas rakhna aur pani pusht par rakhna
tamannaon ke andhe shahr mein jab mangne niklo
to chadar sabr ki sadiyon purani pusht par rakhna
main ek mazdur hun roTi ki KHatir bojh uThata hun
meri qismat hai bar-e-hukmarani pusht par rakhna
tujhe bhi is kahani mein kahin khona hai shahzade
KHuda hafiz ye mohr-e-KHandani pusht par rakhna
hamesha waqt ka dariya ise raftar baKHshega
jise aata ho dariya ki rawani pusht par rakhna
Ghazal
Ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
Ehtisham ul Haq Siddiqui