ye dil-jami jiye jab tak jiye jina usi ka hai
piye jo sair ho ke raat din pina usi ka hai
nigah ki barchhiyan jo sah sake sina usi ka hai
hamara aap ka jina nahin jina usi ka hai
tasawwur us ruKH-e-safi ka rakh madd-e-nazar nadan
lagae munh jo aaine ko aaina usi ka hai
ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai
kadar ho ya ki safi sab ko pi kar mast ho jae
ye hum rindon ka pina kuchh nahin pina usi ka hai
tamasha dekhna ghairon ke ghar ko phunk kar kaisa
jo apni aag mein jal jae KHud kina usi ka hai
faza-e-dahr mein ye sair-gah jis ne bana di hai
tamashai jahan mein dida-e-bina usi ka hai
basar ho mai-kade mein panj-shamba baiTh kar jis ka
jo mai-noshi mein kar de subh aadina usi ka hai
umiden jab baDhen had se tilismi sanp hain naseh
jo toDe ye tilism ai dost ganjina usi ka hai
mubarak hain ye sab raaten jo pine mein kaTen rindo
guzare yun jo shab hafte ki aadina usi ka hai
KHuda-lagti kahe ai 'shad' jo is pair ke haq mein
yaqin samjho dua-go bhi ye derina usi ka hai
kudurat se dil apna saf rakkho 'shad' piri hai
ki jis ko munh dikhana hai ye aaina usi ka hai
Ghazal
Ye dil-jami jiye jab tak jiye jina usi ka hai
Shad Azimabadi