اردو हिंदी
Ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka | Shaahi Shayari
ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka

Ghazal

Ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka
dekha to sirf nam hai bait-ul-haram ka

mani mein lafz ek hai ye rabb-o-ram ka
hasil ye hai ki hai wahi hasil kalam ka

dekha to sab haqiqat-o-mani mein ek hain
surat mein garche farq hai aapas mein nam ka

us la-makan ka koi muayyan nahin makan
gar hai to dil Thikana hai us ke maqam ka

masrur teri mai se ek aalam hai saqiya
ummid-war main bhi hun do ek jam ka

aaghaz-e-ishq mein gaya dil hath se mere
anjam kya ho dekhiye ab mere kaam ka

lete hain chur karne ko hi sang-dil huzur
kiya hai wagarna shisha-e-dil un ke kaam ka