ye dariya hai ki pani ka dhuan hai
kabhi aabaad tha KHali makan hai
main aage ja raha hun pichhe pichhe
purani aadaton ki dastan hai
ghazal apni shabahat kho rahi hai
mera ehsas mujh se bad-guman hai
manazir hain ki dauDe ja rahe hain
koi mazmun nahin zor-e-bayan hai
Ghazal
Ye dariya hai ki pani ka dhuan hai
Javed Nasir

