اردو हिंदी
Ye chand itna niDhaal kyun hai ye sochta hun | Shaahi Shayari
ye chand itna niDhaal kyun hai ye sochta hun

Ghazal

Ye chand itna niDhaal kyun hai ye sochta hun

Kashmiri Lal Zakir

;

ye chand itna niDhaal kyun hai ye sochta hun
ye chandni ko zawal kyun hai ye sochta hun

mujhe to us ka malal tha wo juda hua tha
use bhi us ka malal kyun hai ye sochta hun

agar judai ki lazzaten hi aziz-tar hain
to mujh ko fikr-e-visal kyun hai ye sochta hun

mere fasane awam ko bhi pasand kyun hain
tere karam ka kamal kyun hai ye sochta hun

agar mohabbat mein sare rishton ki azmaten hain
to dushmani ka sawal kyun hai ye sochta hun