ye but jo hum ne dobara bana ke rakkha hai
isi ne hum ko tamasha bana ke rakkha hai
wo kis tarah hamein inam se nawazega
wo jis ne hathon ko kasa bana ke rakkha hai
yahan pe koi bachane tumhein na aaega
samundaron ne jazira bana ke rakkha hai
tamam umr ka hasil hai ye hunar mera
ki main ne shishe ko hira bana ke rakkha hai
kise kise abhi sajda-guzar hona hai
amir-e-shahr ne khata bana ke rakkha hai
main bach gaya to yaqinan ye moajiza hoga
sabhi ne mujh ko nishana bana ke rakkha hai
koi bata de ye suraj ko ja ke hum ne bhi
shajar ko dhup mein chhata bana ke rakkha hai
Ghazal
Ye but jo humne dobara bana ke rakkha hai
Munawwar Rana

