ye bole jo un ko kaha be-murawwat
main kya tum se bhi hun siwa be-murawwat
laqab mere qatil ke kya puchhte ho
sitamgar na-ashna be-murawwat
un aaina-ruyon mein hai wo sitamgar
baDa KHud-gharaz KHud-numa be-murawwat
tu wo kaj-ada hai jo duniya mein DhunDhen
na tujh sa mile dusra be-murawwat
nahin us mein rahm-o-haya kuchh wo qatil
baDa sang-dil hai baDa be-murawwat
teri chashm-poshi se aankhon mein dam hai
idhar dekh o bewafa be-murawwat
siwa tere sare hasinon ko dekha
KHunuk be-namak be-maza be-murawwat
gila jaur ka sun ke bole tumhein kya
main ahl-e-murawwat hun ya be-murawwat
jafaon ka us se gila kijiye jab
tu kahta hai wo bewafa be-murawwat
chalo DhunDh lo ba-wafa aur koi
agar main hun na-ashna be-murawwat
'qalaq' uTh gai rasm-e-ulfat jahan se
hasin sab hain duniya ke kya be-murawwat
Ghazal
Ye bole jo un ko kaha be-murawwat
Arshad Ali Khan Qalaq