ye bhi to kamal ho gaya hai
zahir wo jamal ho gaya hai
jis kaam mein hum ne hath Dala
wo kaam muhaal ho gaya hai
guzri hui umar ka har ek pal
minnat-kash-e-haal ho gaya hai
dil kaun sa taza-dam tha pahle
ab aur niDhaal ho gaya hai
kuchh roz jo din phire hain apne
wo shamil-e-haal ho gaya hai
jo KHwab se KHun se kamaya
wo muft ka mal ho gaya hai
ye dekh ki tere samne kaun
sar-ta-pa sawal ho gaya hai
ai KHauf-e-zawal tere hathon
sab ru-ba-zawal ho gaya hai
Ghazal
Ye bhi to kamal ho gaya hai
Abrar Ahmad