ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujh se
jitni ummiden hain wabasta hain tanha tujh se
hum ne pahli hi nazar mein tujhe pahchan liya
muddaton main na hue log shanasa tujh se
shab tarik firozan teri KHushbu se hui
subh ka rang hua aur bhi gahra tujh se
be-talluq bhi hain har rang har andaz se hum
wo talluq bhi hai qaem jo kabhi tha tujh se
ye alag baat zaban sath na de paegi
dil ka jo haal hai kahna to paDega tujh se
tere sine mein bhi ek dagh hai tanhai ka
jaanta main to kabhi dur na hota tujh se
aankh bhi parda hai takne nahin pati suraj
dil bhi diwar hai milne nahin deta tujh se
kyun azal se tere hamrah chala aata hai
jaane kya chahta hai naqsh-e-kaf-e-pa tujh se
ye alag baat tujhe TuT ke chaha lekin
dil-e-be-maya ne kuchh bhi nahin chaha tujh se
raat aai to talab shama nahin ki dil ne
dhup nikli hai to saya nahin manga tujh se
jis se wabasta hai 'shahzad' muqaddar tera
raushni mang raha hai wo sitara tujh se
Ghazal
Ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujhse
Shahzad Ahmad