اردو हिंदी
Ye be-kas-o-be-qarar chehre | Shaahi Shayari
ye be-kas-o-be-qarar chehre

Ghazal

Ye be-kas-o-be-qarar chehre

Ali Sardar Jafri

;

ye be-kas-o-be-qarar chehre
sadiyon ke ye sogwar chehre

miTTi mein paDe damak rahe hain
hiron ki tarah hazar chehre

le ja ke inhen kahan sajaen
ye bhuk ke shikar chehre

africa-o-asia ki zinat
ye nadir-e-rozgar chehre

khoi hui azmaton ke waris
kal raat ke yaadgar chehre

ghaze se safed mai se rangin
is daur ke daghdar chehre

guzre hain nigah-o-dil se ho kar
har tarah ke be-shumar chehre

maghrur ana ke ghonsle mein
baiThe hue kam-ayar chehre

qabil-e-iltifat aankhen
na-qabil-e-e'tibar chehre

in sab se hasin-tar hain lekin
rindon ke gunahgar chehre