اردو हिंदी
Ye basti pyar ki neamat se Khaali hoti jati hai | Shaahi Shayari
ye basti pyar ki neamat se Khaali hoti jati hai

Ghazal

Ye basti pyar ki neamat se Khaali hoti jati hai

Naseem Abbasi

;

ye basti pyar ki neamat se KHali hoti jati hai
ki har hatim ki surat bhi sawali hoti jati hai

kisi se puchh lo tabir apne apne KHwabon ki
dayar-e-misr mein phir KHushk-sali hoti jati hai

ye kaise rang utre hain jinhen dekha nahin jata
ye kaisi subh phuTi hai jo kali hoti jati hai

purane maqbaron mein bhi daraDen paDti jati hain
nai tamir bhi naqsh-e-KHayali hoti jati hai

bahaw aae din umr-e-rawan ka ghaTta jata hai
ye ThaThen marti naddi bhi nali hoti jati hai