ye basti jaani-pahchani bahut hai
yahan wadon ki arzani bahut hai
shagufta lafz likkhe ja rahe hain
magar lahjon mein virani bahut hai
subuk-zarfon ke qabu mein nahin lafz
magar shauq-e-gul-afshani bahut hai
hai bazaron mein pani sar se uncha
mere ghar mein bhi tughyani bahut hai
na jaane kab mere sahra mein aae
wo ek dariya ki tufani bahut hai
na jaane kab mere aangan mein barse
wo ek baadal ki nuqsani bahut hai
Ghazal
Ye basti jaani-pahchani bahut hai
Iftikhar Arif