ye baat teri chashm-e-fusun-kar hi samjhe
sahra bhi nazar aae to gulzar hi samjhe
ek baat jise sun ke haya aae chaman ko
ek baat jise nargis-e-bimar hi samjhe
is tarah dukan dil ki sajaun ki zamana
dekhe to use misr ka bazar hi samjhe
kya sham-o-sahar us ki hai kya us ke shab-o-roz
duniya ko bhi jo kakul-o-ruKHsar hi samjhe
kahta hi raha dil ki ye sahra-e-junun hai
hum the ki use saya-e-diwar hi samjhe
wo bhi to chaman zad the jo shaKH-e-chaman ko
gardan pe laTakti hui talwar hi samjhe
har chand tha daman mein liye wusat-e-kaunain
is dil ko magar nuqta-e-parkar hi samjhe
zahid ko bhala kab thi yahan fursat-e-tafhim
rahmat ko teri tere gunahgar hi samjhe
wo haal 'raza' tum ne bana rakkha hai dil ka
dekhe jo koi ishq ka aazar hi samjhe

Ghazal
Ye baat teri chashm-e-fusun-kar hi samjhe
Raza Jaunpuri