ye aur baat hai ki madawa-e-gham na tha
lekin tera KHulus tawaqqo se kam na tha
kya kya faraghaten thin mayassar hayat ko
wo din bhi the ki tere siwa koi gham na tha
kuchh hum girift-e-gardish-e-dauran mein aa gae
kuchh dil bhi tere ishq mein sabit-qadam na tha
aae hain yaad tujh se bichhaD kar wo log bhi
jin se talluqat bigaDne ka gham na tha
wo daur-e-ishq mahz bhi kiya waqt tha 'azim'
jab dil pe naqsh mohr-o-nishan-e-sitam na tha
Ghazal
Ye aur baat hai ki madawa-e-gham na tha
Azeem Murtaza