اردو हिंदी
Ye alag baat ki har samt se patthar aaya | Shaahi Shayari
ye alag baat ki har samt se patthar aaya

Ghazal

Ye alag baat ki har samt se patthar aaya

Khalilur Rahman Azmi

;

ye alag baat ki har samt se patthar aaya
sar-bulandi ka bhi ilzam mere sar aaya

zindagi chhoD ne aai mujhe darwaze tak
raat ke pichhle pahar main jo kabhi ghar aaya

bas dua hai ki ilahi ye koi KHwab na ho
koi saya mere sae ke barabar aaya

barha socha ki ai kash na aankhen hotin
barha samne aankhon ke wo manzar aaya

kya kahen ab to ye aadat nahin jati hum se
jhuT bhi bole to sach ban ke zaban par aaya

main nahin haq mein zamane ko bura kahne ke
ab ke main kha ke zamane ki jo Thokar aaya

surKHi-e-mai bhi Thaharti nahin har chehre par
bul-hawas bhi usi mai-KHane se ho kar aaya