ye ajab tum ne nikala sona
raat ka jagna din ka sona
baKHt-e-KHufta se to ummid nahin
sath hoga kabhi us ka sona
kis qadar hijr mein behoshi hai
jagna bhi hai hamara sona
mujh se tang aa ke ye bole shab-e-wasl
ye hi tum ho to na hoga sona
bas dam-e-subh satao na mujhe
yaad wo zid hai wo apna sona
le ke angDai lipaT jaana hae
hae wo sath kisi ka sona
aap karwaT to idhar ko lijiye
jaanta hun main tumhaara sona
sar kahin hath kahin panw kahin
ye nai dhaj hai nirala sona
phir shab-e-wasl ho phir ho ya-rab
jagna mera aur un ka sona
aankhen phuTen jo jhapakti bhi hon
shab-e-tanhai mein kaisa sona
wo khuli aankh wo lab par hai hansi
hum nahin mante aisa sona
raat aankhon mein guzar jati hai
in dinon hai ye hamara sona
hae wo wasl ki shab ka aalam
hae wo pichhle pahar ka sona
kya lage aankh jo yaad aae 'nizam'
rakh ke zanu pe sar us ka sona
Ghazal
Ye ajab tumne nikala sona
Nizam Rampuri