ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha
main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha
main jis ko ek umr sambhaale phira kiya
miTTi bata rahi hai wo paikar mera na tha
mauj-e-hawa-e-shahr-e-muqaddar jawab de
dariya mere na the ki samundar mera na tha
phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main
kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha
sab log apne apne qabilon ke sath the
ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha
Ghazal
Ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha
Iftikhar Arif