اردو हिंदी
Ye aaina tha magar gham ki rahguzar mein tha | Shaahi Shayari
ye aaina tha magar gham ki rahguzar mein tha

Ghazal

Ye aaina tha magar gham ki rahguzar mein tha

Arsh Sahbai

;

ye aaina tha magar gham ki rahguzar mein tha
aTa hua mera dil dard ke ghubar mein tha

qadam qadam pe kai rang ke the hangame
ajib lutf sitam-ha-e-rozgar mein tha

na kar saka main faramosh us ki koi baat
mera KHayal ki ye mere iKHtiyar mein tha

junun ke dasht mein paiham bhaTak raha tha dil
magar ye zehn haqaeq ke kar-zar mein tha

gira jo palkon se ek ashk kah gaya sab kuchh
kahan fasane mein jo lutf iKHtisar mein tha

khule hue the kai maslahat ke darwaze
magar ye dil tha ki Duba hua waqar mein tha

kise pukarte hum rah-e-zindagi mein 'arsh'
har ek shaKHs KHud apne hi intizar mein tha