اردو हिंदी
Ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri | Shaahi Shayari
ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri

Ghazal

Ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri

Saqib Lakhnavi

;

ye aah-e-parda-dar aisi hui adu meri
habab ho gai aaKHir ko aabru meri

na apni KHud-gharzi hai na hi shikayat-e-dost
hai ishq-o-husn ke mabain guftugu meri

koi nikalne na dega zamin ho ki falak
zamane-bhar ke muqabil hai aarzu meri

qina ke baad main deta nahin kisi ko jawab
sifat thi aap ki jo ab hui wo KHun meri

zaban hile na hile dil hile to kaam chale
ye zalzala ho to aa jae guftugu meri

bhula diya mujhe tu ne tujhe main kho baiTha
na main tera hua ai zindagi na tu meri

mujhe zamane se shikwa nahin ki behis hai
samajhne wale samajhte hain guftugu meri

mere karim meri sharm hashr mein rakh le
araq ke sath Tapakti hai aabru meri

ye ek wadi-e-pur-KHar-e-ishq thi 'saqib'
ulajh ke rah gai har dil mein guftugu meri