ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi yarab to dil kya ho jigar kya ho
baghal-gir aarzu se hain muraden aarzu mujh se
yahan is waqt to ek id hai tum jalwa-gar kya ho
muqaddar mein ye likkha hai kaTegi umr mar-mar kar
abhi se mar gae hum dekhiye ab umr bhar kya ho
murawwat se ho begana wafa se dur ho koson
ye sach hai naznin ho KHub-surat ho magar kya ho
laga kar zaKHm mein Tanke qaza teri na aa jae
jo wo saffak sun pae bata ai chaara-gar kya ho
qayamat ke bakheDe paD gae aate hi duniya mein
ye mana hum ne mar jaana to mumkin hai magar kya ho
kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho
Ghazal
Ye aah-e-be-asar kya ho ye naKHl-e-be-samar kya ho
Nazm tabaa-tabaa.ii