yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai
yahi to waqt musafir ke imtihan ka hai
palaT raha hai zamana sada-e-haq ki taraf
jahan-e-fikr mein charcha meri azan ka hai
usi ke KHauf se larzan hai dushmanon ka hujum
wo ek tir jo TuTi hui kaman ka hai
yahi kahin pe wafaon ki qabr-gah bhi thi
yahi kahin se to rasta tere makan ka hai
ek ek harf ki rakhni hai aabru mujh ko
sawal dil ka nahin hai meri zaban ka hai
jo ek chhoTa sa dil hai 'salim' sine mein
wo aaftab mohabbat ke aasman ka hai
Ghazal
Yaqin ki dhup mein saya bhi kuchh guman ka hai
Saleem Siddiqui