yaKH-basta ThanDakon mein ujala jaDa hua
kohre ke sath rah pe kuDa paDa hua
ab bhi buland-tar hain sipah-e-KHuda ke sar
parcham hai ab bhi chob-e-alam par chaDha hua
namrud ki chita kahin paTa hai karbala
har jug mein imtihan hamara kaDa hua
be-abru hai fan abhi aawaz be-badan
sar par abhi hai hijr ka baadal khaDa hua
chahat ki intiha kabhi teri meri wafa
ijra ka majra kabhi kachcha ghaDa hua
kuchh KHwab kuchh gulab the chehre ke aas-pas
dekha tujhe to hausla dil ko baDa hua
jug jiwanon se ruh teri ruh mein nihan
jug jiwanon se dil tere dil se uDa hua
dilbar ke darshna se darakti hui nazar
akhiyon saDi salkhiyon ko nashsha laDa hua
chipki thi pankhuDi koi us lab se ek shab
aamon ka baur tha sar-e-gesu jhaDa hua
Ghazal
YaKH-basta ThanDakon mein ujala jaDa hua
Nasir Shahzad