اردو हिंदी
Yak-ba-yak kyun band darwaze hue | Shaahi Shayari
yak-ba-yak kyun band darwaze hue

Ghazal

Yak-ba-yak kyun band darwaze hue

Hamidi Kashmiri

;

yak-ba-yak kyun band darwaze hue
the wo aayat-e-mubin oDhe hue

bahr-e-zulmat ka safar dar-pesh hai
hain hawa mein baal-o-par jalte hue

band kamron se nikalte hi nahin
ai hawa kya tere mansube hue

aab o saya ek dhoka hi sahi
is se pahle bhi kai dhoke hue

barq thi mausam shagufon ka na tha
shishe ki saDkon pe diwane hue

us ki aankhon mein thi kaisi raushni
dekhne pae na the andhe hue