yahin kahin pe kabhi shola-kar main bhi tha
shab-e-siyah mein ek chashm-e-mar main bhi tha
bahut se log the suqraat-kar o isa-dam
usi hujum mein ek be-shumar main bhi tha
ye chand tare mere gird raqs karte the
likha hua hai zamin ka madar main bhi tha
suna hai zinda hun hirs-o-hawas ka banda hun
hazar pahle mohabbat-guzar main bhi tha
jo mere ashk the barg-e-KHizan ki tarh gire
baras ke khul gaya abr-e-bahaar main bhi tha
wo bel buTe banae ki dekhte rahe log
ye hath kaT liye mina-kar main bhi tha
mujhe samajhne ki koshish na ki mohabbat ne
ye aur baat zara pechdar main bhi tha
supurdagi mein na dekhi thi tamkanat aisi
ye ranj hai ki ana ka shikar main bhi tha
mujhe aziz tha har Dubta hua manzar
gharaz ki ek zawal-ashkar main bhi tha
mujhe gunah mein apna suragh milta hai
wagarna parsa-o-din-dar main bhi tha
barae dars ab atfal-e-shahr aate hain
haram-kar-e-ghina-o-qimar main bhi tha
main kya bhala tha ye duniya agar kamini thi
dar-e-kamingi pa chobdar main bhi tha
wo aasmani bala lauT kar nahin aai
isi zamin par ummid-war main bhi tha
Ghazal
Yahin kahin pe kabhi shola-kar main bhi tha
Saqi Faruqi