yahi safar ki tamanna yahi thakan ki pukar
khaDe hue hain bahut dur tak ghane ashjar
nahin ye fikr ki sar phoDne kahan jaen
bahut buland hai apne wajud ki diwar
daraaz-qad ba-ada-e-KHiram kya kahna
tamam ahl-e-jahan ke liye hai dars-e-waqar
ye daur wo hai ki sab nim-jaan nazar aae
ki raqs mein hai anaDi ke hath mein talwar
badalti rut hai rag-e-sabza mein numu kam kam
kali kali pe tera nam likh rahi hai bahaar
shikasta but hain jabin zaKHm zaKHm but-gar ki
sirhane tesha ke larzida hai koi jhankar
dikhai de to wo bas KHwab mein dikhai de
mera ye haal ki main muddaton se hun bedar
wo log jo tujhe har roz dekhte honge
unhen KHabar nahin kya shai hai hasrat-e-didar
ze-farq-ta-ba-qadam rup-rang ki jhankar
tamam mehr-o-mohabbat tamam bos-o-kanar
tarah tarah se koi nam 'shaz' likhta tha
hatheliyon pe hinai huruf the gul-kar

Ghazal
Yahi safar ki tamanna yahi thakan ki pukar
Shaz Tamkanat