yahi nahin koi tufan meri talash mein hai
ki mausam-e-gham-e-jaanan meri talash mein hai
visal-rut hai magar dil ko aisa lagta hai
sitara-e-shab-e-hijran meri talash mein hai
main faisle ki ghaDi se guzar chuki hun magar
kisi ka dida-e-hairan meri talash mein hai
ye be-yaqin si aasudgi batati hai
ki ek qarya-e-viran meri talash mein hai
main tirgi mein mohabbat ki ek kahani hun
mui charagh sa unwan meri talash mein hai
ye kaisa KHwab tha dhaDka sa lag gaya dil ko
ki ek shaKHs pareshan meri talash mein hai

Ghazal
Yahi nahin koi tufan meri talash mein hai
Noshi Gilani