yahi nahin ki nazar ko jhukana paDta hai 
palak uThaun to ek taziyana paDta hai 
wo sath mein hai magar sab amanaten de kar 
tamam bojh hamin ko uThana paDta hai 
main us dayar mein bheja gaya hun sar de kar 
qadam qadam pe jahan aastana paDta hai 
andhera itna hai ab shahr ke muhafiz ko 
har ek raat koi ghar jalana paDta hai 
tamam bazm KHafa hai magar na jaane kyun 
mushaire mein 'shafaq' ko bulana paDta hai
        Ghazal
Yahi nahin ki nazar ko jhukana paDta hai
Aziz Ahmad Khan Shafaq

