yahi mauqa hai zamane se guzar jaane ka
kyun ajal kya kiya saman mere mar jaane ka
kya kahun naza mein main apni KHamoshi ka sabab
ranj hai waqt ke be-kar guzar jaane ka
hasb-e-mamul chaDhaya nahin naseh koi jam
ye sabab bhi hai mere munh ke utar jaane ka
tujh se ruKHsat hai meri jald bas ai pir-e-mughan
muntazir hun faqat is jam ke bhar jaane ka
motiyon ka tha KHazana meri chashm-e-tar mein
gham hai dil ko inhin danon ke bikhar jaane ka
le chali maut ba-sad-shauq hamein sath apne
na hua jab koi saman tere ghar jaane ka
tar hon aansuon ke aah ke harkare hon
silsila koi to un tak ho KHabar jaane ka
na-umidi hamein pahunchati hai pasti ki taraf
yahi zina to hai koThe se utar jaane ka
din-ba-din panw ki taqat mein kami hone lagi
'shad' saman karo is dasht se ghar jaane ka
Ghazal
Yahi mauqa hai zamane se guzar jaane ka
Shad Azimabadi