yahi hua hai jo us rahguzar se guzre hain
hazar hashr ke manzar nazar se guzre hain
wo rahen aaj bhi naqsh-e-wafa se hain raushan
mizaj-dan-e-mohabbat jidhar se guzre hain
KHuda kare na wo guzren kisi ki nazron se
jo sail-e-dard-o-bala mere sar se guzre hain
chhupae aankhon mein aansu dilon mein dard-o-fughan
wafa shanas yunhi tere dar se guzre hain
talash-e-yar mein hum kya Daren musibat se
hazar bar rah-e-pur-KHatar se guzre hain
khila gae hain mohabbat ke phul kanTon mein
tumhaare chahne wale jidhar se guzre hain
dil-o-jigar mein ujala hai aaj tak jin ka
kuchh aise jalwe bhi 'kashfi' nazar se guzre hain

Ghazal
Yahi hua hai jo us rahguzar se guzre hain
Kashfi Lucknavi