yahi hai ishq ki mushkil to mushkil aasan hai
mila hai dard wo dil ko jo rahat-e-jaan hai
teri nigah samajhti hai ya nahin dekhun
lab-e-KHamosh mein koi sawal pinhan hai
murad-e-zauq KHarabi ki ab bar aaegi
ki dil ki tak mein wo chashm-e-fitna-saman hai
faragh-e-hauslagi par junun ki shahid hai
wo ek chaak jo daman se ta-gareban hai
ye be-KHudi hai mere aish-e-zindagi ki kafil
nigah-e-shauq abhi mahw-e-ru-e-jaanan hai
bala-kashon ki dua hai ki ai KHuda na miTe
jigar ka dagh ki chashm-o-charagh-e-hijran hai
hawa hai shauq-e-suKHan dil mein mauj-zan 'wahshat'
ki ham-safir mera roab sa suKHan-dan hai
Ghazal
Yahi hai ishq ki mushkil to mushkil aasan hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi