اردو हिंदी
Yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga | Shaahi Shayari
yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga

Ghazal

Yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga

Waseem Barelvi

;

yahi bazm-e-aish hogi yahi daur-e-jam hoga
magar aaj ka tasawwur yahan kal haram hoga

main kuchh is tarah jiya hun ki yaqin ho gaya hai
mere baad zindagi ka baDa ehtiram hoga

meri zist ek janaza hai jo rah-e-waqt mein hai
jo thakenge din ke kandhe to supurd-e-sham hoga

yahi hadsat-e-gham hain to ye Dar hai jine walo
koi din mein zindagi ka koi aur nam hoga