اردو हिंदी
Yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae | Shaahi Shayari
yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae

Ghazal

Yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae

Anjum Rumani

;

yahan to phir wahi diwar-o-dar nikal aae
kidhar ko yar chale the kidhar nikal aae

kahan ka pa-e-wafa aur kahan ka dasht-e-talab
ki ab to raste kai muKHtasar nikal aae

hua rafiq na begar-e-shauq mein koi
maqam-e-zar pe kai mo'tabar nikal aae

gurez karte hain sae se bhi mere ahbab
kahin idhar bhi na ye aashufta-sar nikal aae

hua na koi bhi pursan-e-haal zindon ka
mare huon ke kai nauhagar nikal aae

rahe zara dil-e-KHun-gashta par nazar 'anjum'
usi sadaf se ajab kya guhar nikal aae