yahan to har ghaDi koh-e-nida ki zad mein rahte hain
tajawz ke bhi mausam mein hum apni had mein rahte hain
bahut mohtat ho kar sans lena mo'tabar ho tum
hamara kya hai hum to KHud hi apni rad mein rahte hain
sarab o aab ki ye kashmakash bhi KHatm hi samjho
chalo mauj-e-sada ban kar kisi gumbad mein rahte hain
saron ke bojh ko shanon pe rakhna mojaza bhi hai
har ek pal warna hum bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain
Ghazal
Yahan to har ghaDi koh-e-nida ki zad mein rahte hain
Ashar Najmi