اردو हिंदी
Yahan se Dub kar jaana hai mujhko | Shaahi Shayari
yahan se Dub kar jaana hai mujhko

Ghazal

Yahan se Dub kar jaana hai mujhko

Mughni Tabassum

;

yahan se Dub kar jaana hai mujh ko
samundar mein utar jaana hai mujh ko

abhi to ku-ba-ku hai KHak meri
abhi to dar-ba-dar jaana hai mujh ko

kabhi jate hue lambe safar par
achanak hi Thahar jaana hai mujh ko

ye hasrat hai kahun main doston se
hui ab sham ghar jaana hai mujh ko

tujhe apna sabhi kuchh saunpna hai
tere daman mein bhar jaana hai mujh ko