اردو हिंदी
Yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere | Shaahi Shayari
yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere

Ghazal

Yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere

Anjum Khaleeq

;

yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere
tumhaare shahr ke sab log to dushman nahin mere

talash-e-ahd-e-rafta mein ajaib-ghar bhi dekhe hain
wahan bhi sab hawale hain kahin tere kahin mere

zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi
ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere

falak had hai ki sarhad hai zamin madan hai ya madfan
mujhe bechain hi rakhte hain ye wahm o yaqin mere

main tere zulm kaise hashr tak sahta chala jaun
bas ab to faisle honge yahin tere yahin mere

achanak kis tarah aaKHir ye duniya chhoD sakta hun
KHazane ja-ba-ja madfun hain zer-e-zamin mere

to jab mere kiye par hai mera anjam phir anjam
ye mazi haal mustaqbil to hain zer-e-nagin mere