yas-o-hiras-o-jaur-o-jafa se alag-thalag
ek saeban hai qahr-e-KHuda se alag-thalag
dekho uTha hai wo bhi alamat ke taur par
dast-e-daraaz dast-e-dua se alag-thalag
parwana-e-hawa-o-hawas han barae-shauq
koi maqam sham-e-wafa se alag-thalag
kab tak rahega wahshi-e-ehsas-o-agahi
na-sazgar aab-o-hawa se alag-thalag
mil jaega hisar-e-azimat ke aas pas
karb-e-sukut aah-o-buka se alag-thalag
sad-hadsat-e-KHam hain ibrat-nigah mein
tariKH-saz jurm-o-saza se alag-thalag
is KHauf se na sehr-bayani pe harf aae
'rahi' rahe hain chun-o-chara se alag-thalag
Ghazal
Yas-o-hiras-o-jaur-o-jafa se alag-thalag
Rahi Fidai